CG Deled , bed , BA bed , BSc bed , online counselling open 2020
Chhattisgarh DELED , bed , BA bed, BSc bed , online counselling open new notification in SCERT :- Chhattisgarh d.el.ed , bed , BA bed , BSc bed , main admission ke liye online counselling jald hi start Hone Wali Hai . iske liye SCERT ne new notification Jari Karke bataya Hai ki is varsh entrance exam Nahin hoga balki Sidha online counselling Karke merit Suchi taiyar ki Jayegi . yah Suchi 12th ke percent ke Aadhar per graduation ke percent ke Aadhar per Kiya jaega.
Chayan prakriya :-. Pratyek Varsh CG Vyapam ki or se deled, bed , BSc bed , BA bed , ka entrance exam liya jata tha . Vyapam ki or se result Jari hone ke paschat numberon ke Aadhar per merit Suchi taiyar hoti thi . jismein candidate ka rank nirdharit Hota tha .
Vyapam se prapt candidate ka rank ke Aadhar per fir online counselling Kiya jata tha . jismein Apne man Pasand college ko Chuna jata tha . jismein Government College private college kar sakte the .
Parantu is Varsh SCERT Sidha entrance exam na Lekar ke online counselling karwane Wali hai . jismein aap apne Manpasand college Chahe vah Government College ho ya private college Chun sakte hain .
Qualification for DELED / BSc bed / BA Bed :- deled , bsc bed , ba bed me online counselling ke liye qualification 12th minimum 45% ke sath pass hona anivarya hai.
Qualification for B.Ed :- bed karne ke liye candidate ka minimum qualification graduation complete Hua Hona chahie .
Online counselling date :- ismein admission ke liye online counselling date abhi NCERT ki or se jald hi Jari kar diya jaega.
online counselling kaise karen :- ismein admission ke liye online counselling karne ke liye SCERT ke official website www.scert.gov.in se bhra jayega .
Iska detail video dekhne ke liye :- Click hear
Fees kitna lagta hai :- government college se deled karne ke liye Pratham varsh mein sirf 3500 admission ke Waqt lagega aur next year arthat dusre varsh bhi 3500 rupaye lagega . private college mein alag alag college ki fees Alag Alag hoti hai .
आपके Comment का Reply जल्द ही मिल जाएगा आप दोबारा इस पोस्ट पर Visit करके अपने कमेंट का Reply देख सकते हैं
3 Comments
New CommentsANCHALA PAINKRA
Ambika
बहुत ही सुंदर जानकारी महोदय